hazar qaid-e-KHizan se chhuT kar bahaar ka aasra karenge
bahaar bhi ham-qafas-zadon ko na ras aai to kya karenge
ab aur us ke siwa na hogi qafas mein taskin-e-dil ki surat
chaman ki jaanib nazar uTha kar kabhi kabhi hans liya karenge
ye kya KHabar thi ki sham-e-furqat mere liye sazgar hogi
wo mah-o-anjum ki aaD le kar mere fasane suna karenge
hamare mashrab mein thi na jaez dar-e-haram ki ye jubba-sai
ye farz-e-na-KHushgawar lekin ab un ki KHatir ada karenge
nigah ki bandishen salamat junun ki pabandiyan musallam
kahin bharam khul gaya to ai dil main kya karunga wo kya karenge
ye dekhna hai ki baad tark-e-talluqat ai 'shakil' kab tak
na koi hum par jafa karega na hum kisi se wafa karenge
Ghazal
Hazar qaid-e-KHizan se chhuT kar bahaar ka aasra karenge
Shakeel Badayuni

