hayat ko teri dushwar kis tarah karta
main tujh se pyar ka izhaar kis tarah karta
tha meri saut pe pahra ana-sipahi ka
main apni haar ka iqrar kis tarah karta
use tha pyar se baDh kar KHayal duniya ka
ye jaan kar bhi main israr kis tarah karta
tera wajud gawahi hai mere hone ki
main apni zat se inkar kis tarah karta
mujhe KHabar thi tujhe dukh milenge badle mein
qubul phir main tera pyar kis tarah karta
tha ham-safar bhi safar bhi jo meri manzil bhi
usi ko rah ki diwar kis tarah karta
jo KHud ko bechne baiTha tha kauDiyon ke ewaz
main us ko apna KHaridar kis tarah karta
Ghazal
Hayat ko teri dushwar kis tarah karta
Farhat Shahzad