hayat-e-ishq ki KHurshid-samani nahin jati
miTa jata hai dil zarron ki tabani nahin jati
jo kal tak khel samjhe the hamein barbaad kar dena
ab un maghrur nazron ki pashemani nahin jati
hamin par lutf ki barish hai lekin wae-nadani
hamin se wo nigah-e-lutf pahchani nahin jati
watan kya jurat-e-ahl-e-junun se ho gaya KHali
KHirad ki quwwat-e-tajdid-e-virani nahin jati
bahaar aai khile ghunche magar ai nazim-e-gulshan
hamare aashiyan ki shoala-samani nahin jati
meri sahba ki azmat sirf ahl-e-dil samajhte hain
piye jata hun lekin pak-damani nahin jati
ye kis kafir-ada ka jalwa-e-masum dekha hai
'rais' ab tak meri nazron ki hairani nahin jati

Ghazal
Hayat-e-ishq ki KHurshid-samani nahin jati
Raees Niyazi