haya bhi aankh mein waraftagi bhi
badan mein pyas lab par KHamushi bhi
dariche band hon achchha hai lekin
zaruri hai hawa bhi raushni bhi
main waqif hun teri chup-goiyon se
samajh leta hun teri an-kahi bhi
pahan len lams ki aanchen kisi din
pighal jae ye hadd-e-aKHiri bhi
kiya karti hai sajde mujh ko Thokar
muqaddas hai meri aawargi bhi
tumhein kho kar bhi tum ko pa chuka hun
mera hasil meri la-hasili bhi
yahi ek moD tak aana bichhaDna
yahi qismat tumhaari bhi meri bhi

Ghazal
Haya bhi aankh mein waraftagi bhi
Suleman Khumar