hawa ne sine mein KHanjar chhupa ke rakkha hai
ye dekhna hai ki ab war kis pe karta hai
KHabar ye aam hai phir bhi ye kaisa parda hai
ki TuTa aaina us ne sambhaal rakkha hai
zaban bhi chup hai faza par hai KHamushi tari
hai kis ka KHauf tujhe kyun kisi se Darta hai
tumhaare panw ke niche kahin zamin hi nahin
safar ka kar ke tu kaise irada baiTha hai
hui hai sham darichon pe chand chamke hai
hai kis ka saya jo shab bhar sisakta rahta hai
kahan kahan na parindon ne pankh phailae
magar ye kya ki kisi shaKH par Thikana hai
Ghazal
Hawa ne sine mein KHanjar chhupa ke rakkha hai
Sahiba Sheheryar