hawa mein nauhe ghule durd mishalon mein raha
bahut ajib sa dukh tha ki bastiyon mein raha
tamam peD the sahil pe aag ki zad mein
mere qabile ka har fard paniyon mein raha
bahut dilase diye hum ne shab-gazida ko
magar wo shaKHs ki din mein bhi waswason mein raha
wahi tha aaKHiri nuqta meri lakiron ka
har ek qaus mein wo sare zawiyon mein raha
ye jaante bhi ki sara safar KHala ka hai
bala ka hausla TuTe hue paron mein raha
bhari bahaar hare KHwab ke gulab liye
tamam umr main ujDi hui ruton mein raha
qarib aae to suraj bhi bujh gae 'qayyum'
siyah barf ki surat lahu ragon mein raha

Ghazal
Hawa mein nauhe ghule durd mishalon mein raha
Qayyum Tahir