hawa ki rah-numai pe shak nahin rakhte
hum apne panw ke niche saDak nahin rakhte
hamari aankhon mein ek aisa KHwab simTa hai
pae surur palak par palak nahin rakhte
hawa dahaD ke Takrae bhi to kya hasil
pahaD apne badan mein lachak nahin rakhte
tum us ko kund samajh kar na dhoka kha jaana
hum apni tegh-e-ana par chamak nahin rakhte
hamari galiyon mein aise bhi log aate hain
zamin pe pair hain rakhte dhamak nahin rakhte

Ghazal
Hawa ki rah-numai pe shak nahin rakhte
Shariq Adeel