اردو हिंदी
Hawa ke taKHt par agar tamam umr tu raha | Shaahi Shayari
hawa ke taKHt par agar tamam umr tu raha

Ghazal

Hawa ke taKHt par agar tamam umr tu raha

Ali Akbar Natiq

;

hawa ke taKHt par agar tamam umr tu raha
mujhe KHabar na ho saki pa sath sath main bhi tha

chamakte nur ke dinon mein tere aastan se dur
wo main ki aaftab ki safed shaKH par khila

hijab aa gaya tha mujh ko dil ke iztirab par
yahi sabab hai tere dar pe lauT kar na aa saka

wo kis makan ki dhup thi, gali gali mein bhar gai
wo kaun sabza-ruKH tha jo ki mom sa pighal gaya

kabhi to chal ke dekho sae pipalon ke des ke
jahan laDakpana hamare hath se juda hua