اردو हिंदी
Hawa ke rang mein duniya pe aashkar hua | Shaahi Shayari
hawa ke rang mein duniya pe aashkar hua

Ghazal

Hawa ke rang mein duniya pe aashkar hua

Kumar Pashi

;

hawa ke rang mein duniya pe aashkar hua
main qaid-e-jism se nikla to be-kanar hua

sitare TuT ke tarikiyan bikher gae
ye hadisa bhi safar mein hazar bar hua

bulandiyon pe tha mahw-e-safar hua ki tarah
libas-e-KHak jo pahna to KHaksar hua

lahuluhan hua bahr-o-bar ka har manzar
jo meri rah mein aaya mera shikar hua

tamam shahr ne mujrim mujhi ko gardana
tamam shahr mein ek main hi sangsar hua