hawa ke dosh pe baadal ki mushk KHali hai 
jo sab ko banTta phirta tha KHud sawali hai 
kisi ko mar ke KHush ho rahe hain dahshat-gard 
kahin pe sham-e-ghariban kahin diwali hai 
tumhaare samne kaise zaban ko jumbish den 
tumhaare shahr mein sach bolna bhi gali hai
        Ghazal
Hawa ke dosh pe baadal ki mushk Khaali hai
Sharib Mauranwi

