hawa ka ruKH badalta ja raha hai
diya be-laus jalta ja raha hai
tumhaare hijr ki is aanch mein ab
hamara dil pighalta ja raha hai
taDap uTThi hai meri ruh phir se
badan se tu nikalta ja raha hai
nikalo ab mere ghar se hi mujh ko
ye sannaTa nigalta ja raha hai
qafas mein qaid ek panchhi ke jaise
mera kirdar Dhalta ja raha hai
hamara hijr bhi ab masala ban
zamane mein uchhalta ja raha hai
use ehsas hai kya 'mit' wo ab
mere arman kuchalta ja raha hai
Ghazal
Hawa ka ruKH badalta ja raha hai
Amit Sharma Meet