hawa chali hai na patta koi hila ab tak
wahi hai ek KHamoshi ka silsila ab tak
wo kaun log hain kis ki talash mein gum hain
hamein to apna pata bhi nahin mila ab tak
tu apne chahne walon se aashna na hui
yahi to tujh se hai ai zist ek gila ab tak
kisi ka daman-e-sad-chaak kya rafu karte
ki hum se apna bhi daman nahin sila ab tak
wahi safar wahi tare wahi thakan baqi
wahi hai bujhte charaghon ka silsila ab tak
purani baat main kal ki samajh ke bhul gaya
magar hai zaKHm tamanna-e-dil khula ab tak
jise main DhunD raha hun gali gali 'anjum'
wo shaKHs mujh se bichhaD kar nahin mila ab tak
Ghazal
Hawa chali hai na patta koi hila ab tak
Aanand Saroop Anjum