hausle mayus zauq-e-justuju nakaam hai
ye dil-e-na-mahram-e-anjam ka anjam hai
aankh kya hai husn ki ranginiyon ka aaina
dil hai kya KHun-e-tamanna ka chhalakta jam hai
dijiye bimar-e-ulfat ki jigar-dari ki dad
naza ka aalam hai honTon par tumhaara nam hai
phir wo yaad aae hui madhosh dil ki kaenat
phir uTha dard-e-jigar phir kuchh mujhe aaram hai
KHak-dan-e-dahr mein taskin ka juya na ho
aah jab tak dil dhaDakta hai kahan aaram hai
wo to dil mein dard ki duniya basa kar chal diye
mujh ko har tar-e-nafas ek maut ka paigham hai
wasil-e-mizrab-e-KHamoshi hai har tar-e-nafas
us se kah do ab tere bimar ko aaram hai
kar raha hun doston ke zoam par tark-e-watan
shayad ab aaghaz-e-daur-e-gardish-e-ayyam hai
Ghazal
Hausle mayus zauq-e-justuju nakaam hai
Ehsan Danish