haTa ke mez se ek roz aaina main ne
phir apne-ap se rakkha na wasta main ne
jab apne-ap se pahchan apni kho ke mili
to KHud hi kaT diya apna rasta main ne
main kam-sini mein bhi guDiya kabhi nahin kheli
palon mein tai kiya barson ka fasla main ne
charagh hun mujhe jab dhup ras aa na saki
to KHud sikoD liya apna daera main ne
main apne aap mein hun ya nahin, kabhi apna
kisi ko Thik bataya nahin pata main ne
ajib kya jo bikhera nahin sameT ke phir
tamam umr umidon ka silsila main ne
Ghazal
HaTa ke mez se ek roz aaina maine
Aziz Bano Darab Wafa