اردو हिंदी
Hasti ki qaid se ai dil aazad hoiye | Shaahi Shayari
hasti ki qaid se ai dil aazad hoiye

Ghazal

Hasti ki qaid se ai dil aazad hoiye

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

hasti ki qaid se ai dil aazad hoiye
sahra mein ja ke KHub sa hans hans ke roiye

donon jahan ka shadi o gham dil se bhul kar
panw daraaz kar ke faraghat se soiye

ai chashm az-barae-KHuda gar madad kare
aamal-nama apna to ro ro ke dhoiye

'hatim' kisi se apni musibat ko tu na kah
kya faeda jo apna bharam muft khoiye