hasraten roti rahen dil mein mujawir ki tarah
dil magar chup hi raha lauh-e-maqabir ki tarah
KHushk patton ki tarah chhuT gae yaran-e-kuhan
phir na palTe kabhi patjhaD ke musafir ki tarah
aa teri mang mein kuchh ashk pirota jaun
main to har chhanw se guzrunga muhajir ki tarah
main hun ek naqsh-e-qadam dasht-e-faramoshi ka
bhul jaoge mujhe tum bhi musafir ki tarah
chaaragar dur na jaana kahin ji Darta hai
aaj ki raat hai gahri shab-e-aKHir ki tarah
dushman-e-mehr-o-wafa se koi karta hai nibah
kaun chahega tujhe tere 'musawwir' ki tarah
Ghazal
Hasraten roti rahen dil mein mujawir ki tarah
Musavvir Sabzwari