اردو हिंदी
Hasrat-e-sikka-e-baKHil na kar | Shaahi Shayari
hasrat-e-sikka-e-baKHil na kar

Ghazal

Hasrat-e-sikka-e-baKHil na kar

Ramz Azimabadi

;

hasrat-e-sikka-e-baKHil na kar
apne kashkol ko zalil na kar

kuchh na bolenge muddai ke KHilaf
doston ko kabhi wakil na kar

bahs jari rahe to behtar hai
mere dawe ko be-dalil na kar

main farasat-gazidgi ka shikar
mujh ko farzana-o-aqil na kar

hath uncha rahe kushada rahe
jeb ko kisa-e-baKHil na kar

koi had hai teri zarurat ki
zindagi yun mujhe zalil na kar

'ramz' qaid-e-hayat jhel abhi
itni ujlat mere KHalil na kar