hasrat-e-ahd-e-wafa baqi hai
teri aankhon mein haya baqi hai
baat mein kohna riwayat ka lutf
hath par rang-e-hina baqi hai
abhi hasil nahin zalim ko dawam
abhi duniya mein KHuda baqi hai
bujh gaya gir ke KHunuk aab mein chand
sath-e-dariya pe sada baqi hai
aankh mein ism-e-mohammad ki mahak
honT par harf-e-dua baqi hai
gopiyan hi kisi gokul mein nahin
bansiyon mein to sada baqi hai
panw ke niche sarakti hui ret
sar mein masnad ki hawa baqi hai
bich mein raat bachan bite milan
oT mein jalta diya baqi hai
karbala iffat insan ki baqa
luT ke bhi teri rida baqi hai
dekh ye phul ye mahtab na ja
rut mein ras shab mein nasha baqi hai
Ghazal
Hasrat-e-ahd-e-wafa baqi hai
Nasir Shahzad