hasinon ke sitam ko mehrbani kaun kahta hai
adawat ko mohabbat ki nishani kaun kahta hai
ye hai ek waqai tafsil meri aap-biti ki
bayan-e-dard-e-dil ko ek kahani kaun kahta hai
yahan har-dam nae jalwe yahan har-dam nae manzar
ye duniya hai nai is ko purani kaun kahta hai
tujhe jis ka nasha har-dam liye phirta hai jannat mein
bata ai shaiKH us kausar ko pani kaun kahta hai
tariqa ye bhi hai ek imtihan-e-jazba-e-dil ka
tumhaari be-ruKHi ko bad-gumani kaun kahta hai
bala hai qahr hai aafat hai fitna hai qayamat ka
hasinon ki jawani ko jawani kaun kahta hai
fana ho kar bhi hasil hai wahi rang-e-baqa us ka
hamari hasti-e-fani ko fani kaun kahta hai
hazaron ranj is mein 'arsh' lakhon kulfaten is mein
mohabbat ko surud-e-zindagani kaun kahta hai
Ghazal
Hasinon ke sitam ko mehrbani kaun kahta hai
Arsh Malsiyani