اردو हिंदी
Hashr mein phir wahi naqsha nazar aata hai mujhe | Shaahi Shayari
hashr mein phir wahi naqsha nazar aata hai mujhe

Ghazal

Hashr mein phir wahi naqsha nazar aata hai mujhe

Tajvar Najibabadi

;

hashr mein phir wahi naqsha nazar aata hai mujhe
aaj bhi wada-e-farda nazar aata hai mujhe

KHalish-e-ishq miTegi mere dil se jab tak
dil hi miT jaega aisa nazar aata hai mujhe

raunaq-e-chashm-e-tamasha hai meri bazm-e-KHayal
is mein wo anjuman-ara nazar aata hai mujhe

un ka milna hai nazar-bandi-e-tadbir ai dil
saf taqdir ka dhoka nazar aata hai mujhe

tujh se main kya kahun ai soKHta-e-jalwa-e-tur
dil ke aaine mein kya kya nazar aata hai mujhe

dil ke pardon mein chhupaya hai tere ishq ka raaz
KHalwat-e-dil mein bhi parda nazar aata hai mujhe

ibrat-amoz hai barbaadi-e-dil ka naqsha
rang-e-nairangi-e-duniya nazar aata hai mujhe