harim-e-naz ko hum ghair ki mahfil nahin kahte
raqibon par magar wo kaun tha mail nahin kahte
jo rang-e-ishq se farigh ho us ko dil nahin kahte
jo maujon se na Takrae use sahil nahin kahte
ishaara shama ka samjha na parwana to kya samjha
manar-e-rah ko ahl-e-nazar manzil nahin kahte
ba-rang-e-rishta-e-tasbih dil se rah hai dil ko
bhaTak jae jo is jade se us ko dil nahin kahte
zuleKHa ke waqar-e-ishq ko sahra se kya nisbat
jo KHud khinch kar na aa jae use manzil nahin kahte
mariz-e-gham ki ghaflat bhi kamal-e-hoshiyari hai
jo gum ho jae jalwon mein use ghafil nahin kahte
bharam us ka hi ai mansur tu ne rakh liya hota
kisi ka raaz ai nadan sar-e-mahfil nahin kahte

Ghazal
Harim-e-naz ko hum ghair ki mahfil nahin kahte
Wasif Dehlvi