اردو हिंदी
Harim-e-dil mein utarti hain aayaten uski | Shaahi Shayari
harim-e-dil mein utarti hain aayaten uski

Ghazal

Harim-e-dil mein utarti hain aayaten uski

Ragib Shakeb

;

harim-e-dil mein utarti hain aayaten us ki
lahu bhi karne laga hai tilawaten us ki

qarib tha to rag-e-jaan se bhi qarib raha
bichhaD ke ta-ba-falak hain masafaten us ki

hui hai shaKH-e-dil-o-jaan pe KHwahishon ki numu
lahu ke phul khilaengi qurbaten us ki

isi umid pe KHwabon ki fasl boi hai
ki kisht-e-dil mein ugengi bashaaraten us ki

KHayal rang hua chandni shafaq KHushbu
hazar rang mein dekhun main suraten us ki

numu-pazir hun mujh ko na chhoD ai dharti
meri jaDon ko abhi hain zaruraten us ki

lahu to jam gaya aankhon ki putliyon mein 'shakeb'
dikhaen aks bhala kya basarten us ki