اردو हिंदी
Harim-e-dil, ki sar-ba-sar jo raushni se bhar gaya | Shaahi Shayari
harim-e-dil, ki sar-ba-sar jo raushni se bhar gaya

Ghazal

Harim-e-dil, ki sar-ba-sar jo raushni se bhar gaya

Ali Akbar Natiq

;

harim-e-dil, ki sar-ba-sar jo raushni se bhar gaya
kise KHabar, main kin diyon ki rah se guzar gaya

ghubar-e-shahr mein use na DhunD jo KHizan ki shab
hawa ki rah se mila, hawa ki rah par gaya

tere nawah mein raha magar miyan-e-din-o-dil
gajar baja to ji uTha, suni azan to mar gaya

safed pattharon ke ghar, gharon mein tirgi ke gham
hazar gham ka ek ye ki tu bhi be-KHabar gaya

nagar hain aaftab ke, barahana gumbadon ke sar
saron pe nur ke kalas, main nur mein utar gaya