اردو हिंदी
Harf-e-ghazal se rang-e-tamanna bhi chhin le | Shaahi Shayari
harf-e-ghazal se rang-e-tamanna bhi chhin le

Ghazal

Harf-e-ghazal se rang-e-tamanna bhi chhin le

Hameed Almas

;

harf-e-ghazal se rang-e-tamanna bhi chhin le
main jal raha hun aatish-e-naghma bhi chhin le

be-barg-o-bar ho gaya imroz ka shajar
mujh se mata-e-gulshan-e-farda bhi chhin le

mere junun ko hajat-e-diwar-o-dar nahin
ghar se juda hua hun to saya bhi chhin le

ab to nashat-e-did ka bhi silsila gaya
yani dil-o-nigah ka rishta bhi chhin le

chhina hai tu ne sham ke ruKH se salona-pan
ab shahr-e-arzu se ujala bhi chhin le

baqi rahe na dast-e-tasarruf mein koi shai
jo kuchh mujhe diya tha wo hissa bhi chhin le