اردو हिंदी
Haram ka aaina barson se dhundla bhi hai hairan bhi | Shaahi Shayari
haram ka aaina barson se dhundla bhi hai hairan bhi

Ghazal

Haram ka aaina barson se dhundla bhi hai hairan bhi

Aziz Hamid Madni

;

haram ka aaina barson se dhundla bhi hai hairan bhi
ek afsun-e-barahman hai ki paida bhi hai pinhan bhi

na ja ai naKHuda dariya ki aahista-KHirami par
isi dariya mein KHwabida hai mauj-e-tund jaulan bhi

kamal-e-jaan-nisari ho gai hai KHak parwana
use iksir bhi kahte hain aur KHak-e-pareshan bhi

wida-e-shab bhi hai aur shama par ek bankpan bhi hai
hadis-e-shauq bhi hai qissa-e-umr-e-gurezan bhi

na aai yaad teri ye bhi mausam ka taghayyur tha
ye kusht-e-shauq thi parwarda-ha-e-baad-o-baran bhi

ye duniya hai to kya ai ham-nafas tafsir-e-gham kije
wahi aadab-e-mahfil bhi wahi aadab-e-zindan bhi

shua-e-mehr hai ya iltizam-e-zaKHm-o-marham hai
ye dagh-e-lala bhi hai shola-e-lal-e-badaKHshan bhi