har zarra gul-fishan hai nazar chur chur hai
nikle hain mai-kade se to chehre pe nur hai
han tu kahe to jaan ki parwa nahin mujhe
yun zindagi se mujh ko mohabbat zarur hai
ab ai hawa-e-charKH-e-kuhan teri KHair ho
uThne ko is zamin se shor-e-nushur hai
apna jo bas chale to tujhe tujh se mang len
par kya karen ki ishq ki fitrat ghayur hai
nazuk tha aab-gina-e-dil TuT hi gaya
tu ab na ho malul tera kya qusur hai
aariz pe tere meri mohabbat ki surKHiyan
meri jabin pe teri wafa ka ghurur hai
Ghazal
Har zarra gul-fishan hai nazar chur chur hai
Khalilur Rahman Azmi