har zarra-e-KHaki ko kiran hum ne banaya
miTTi ko lahu de ke chaman hum ne banaya
tha husn magar ek nigah-e-nim-raza se
gesu-ba-kamar lala-shikan hum ne banaya
sad-shukr ki hai un ka tabassum bhi hamin par
kaliyon mein jinhen ghuncha-dahan hum ne banaya
aghyar ko gul-pairahani hum ne ata ki
apne liye phulon ka kafan hum ne banaya
har jazba-e-azadi-e-fitrat ko hua di
har baada-e-paimana-shikan hum ne banaya
tariKH-e-junun ye hai ki har daur-e-KHirad mein
ek silsila-e-dar-o-rasan hum ne banaya
Darte hain KHamoshi se hamari mah-o-anjum
chup rah ke wo andaz-e-suKHan hum ne banaya
Takrae kabhi mauj se sahil pe kabhi hain
bahte hue dariya mein watan hum ne banaya
mustaqbil-e-tahzib ka naghma wahi Thahra
jo zamzama-e-gang-o-jaman hum ne banaya
ashkon se hamare hai munawwar nai duniya
shabnam ko ziya di to karan hum ne banaya
aafaq ka har jalwa 'nushur' is mein ayan hai
mil-jul ke wo aaina-e-fan hum ne banaya
Ghazal
Har zarra-e-KHaki ko kiran humne banaya
Nushur Wahidi