har taur har tarah ki jo zillat mujhi ko hai
duniya mein kya kisi se mohabbat mujhi ko hai
KHud main ne apne-ap ko bad-nam kar diya
sabit hua ki mujh se adawat mujhi ko hai
tum bhi to roz dekhte rahte ho aaina
sach bolo kya pasand ye surat mujhi ko hai
tum ko to kuchh zarur nahin pas-e-dosti
han ye zarur hai ki zarurat mujhi ko hai
jab lutf tha ki us ko bhi hota mera KHayal
'kaifi' ghazab to ye hai mohabbat mujhi ko hai
Ghazal
Har taur har tarah ki jo zillat mujhi ko hai
Kaifi Hyderabadi