har taraf karb ke manzar hain jidhar jata hun
lamha lamha kabhi jita kabhi mar jata hun
bad-guman aisa hua hun main farebon se tere
sach bhi jab samne aata hai to Dar jata hun
intiqaman ye rawish main ne bhi apnai hai
jab mukarta hai koi main bhi mukar jata hun
dhup sah lene ki aadat ne ye jurat baKHshi
sar pe suraj ko uThae mein guzar jata hun
aaina ban gaya hamraaz 'niyazi' jab se
apne chehre ko main KHud dekh ke Dar jata hun

Ghazal
Har taraf karb ke manzar hain jidhar jata hun
Qasim Niyazi