har-su us ka charcha hone wala hai
mausam phir se ujla hone wala hai
bolega auqat se baDh kar wo shayad
qad se saya unche hone wala hai
baat umuman karta rahta hai sach ki
jaldi hi wo tanha hone wala hai
nam pe mazhab ke jamghaT hai logon ka
shahr mein shayad danga hone wala hai
hum bhi pahunchen le kar apni KHamoshi
aawazon ka sauda hone wala hai
itna roya hun main us ki yaadon mein
sara pani khaara hone wala hai
hans ke dekha hai us ne meri jaanib
'shoKH' maraz ab achchha hone wala hai
Ghazal
Har-su us ka charcha hone wala hai
Parvindar shokh