اردو हिंदी
Har sher ghazal ka kah raha hai | Shaahi Shayari
har sher ghazal ka kah raha hai

Ghazal

Har sher ghazal ka kah raha hai

Hafiz Ludhiyanvi

;

har sher ghazal ka kah raha hai
tujh ko bhi bichhaD ke dukh hua hai

hai shola-e-jaan mein yaad teri
kya aag mein phul khil raha hai

KHurshid-e-sahar tulua ho kar
shabnam ka mizaj puchhta hai

kya us ko bataun hijr ke gham
jis par mera haal aaina hai

main kis se kahun fasana-e-gham
har ek ka dil dukha hua hai

kyun aa gai darmiyan duniya
ye tera mera moamla hai

kya paoge but se faiz 'hafiz'
patthar bhi kahin KHuda bana hai