اردو हिंदी
Har shaKHs bad-hawas KHabar ke sabab se tha | Shaahi Shayari
har shaKHs bad-hawas KHabar ke sabab se tha

Ghazal

Har shaKHs bad-hawas KHabar ke sabab se tha

Sarfraz Arish

;

har shaKHs bad-hawas KHabar ke sabab se tha
kashti mein intishaar bhanwar ke sabab se tha

aankhen badan baghair aur aankhon mein ek KHwab
mahrumi-e-maal safar ke sabab se tha

binai ke ghubar se manzar mein dhul thi
wo aaina sarab nazar ke sabab se tha

itna qalil bosa ki ehsas-e-lams bhi
KHud-saKHta nashe ke asar ke sabab se tha

warna saDak ki meD Thaharti qusur-war
sad imtinan hadisa Dar ke sabab se tha

khiDki se raushni ki wazahat pe ye khula
diwar ka jawaz to ghar ke sabab se tha

miTTi ke martabe ka khula e'tiraf tha
mera zamin ko bosa shajar ke sabab se tha