اردو हिंदी
Har shai lamhe ki mehman hai kya gul kya KHushbu | Shaahi Shayari
har shai lamhe ki mehman hai kya gul kya KHushbu

Ghazal

Har shai lamhe ki mehman hai kya gul kya KHushbu

Manzoor Arif

;

har shai lamhe ki mehman hai kya gul kya KHushbu
kya mai kya nasha-e-aina kya aaina-ru

morni ki ye KHwahish wajd mein aa kar nache mor
pyas bujhane ko de de bas do qatre aansu

kya tha wo lamhon ki rifaqat ho gai KHwab-o-KHayal
tujh bin sari umr raha KHali mera pahlu

zehni rishte qalbi nate sab aghraaz-pasand
sab lamhon ke jadugar hain kya main aur kya tu

'arif' kya tadbir ho us ko kaise ram karun
main ek KHali hath shikari wo ek tez aahu