اردو हिंदी
Har shab KHayal-e-ghair ke mare alag-thalag | Shaahi Shayari
har shab KHayal-e-ghair ke mare alag-thalag

Ghazal

Har shab KHayal-e-ghair ke mare alag-thalag

Shad Lakhnavi

;

har shab KHayal-e-ghair ke mare alag-thalag
aate hain KHwab mein wo hamare alag-thalag

gar ghair sath saye ke surat na tha to kyun
misl-e-saba chaman se sidhaare alag-thalag

bulbul wo hun ki fasl ke pahle hi baghban
leta hai bagh jis ka ijare alag-thalag

dam-e-bala mein phanste hain aap aa ke saikDon
wo but hazar baal sanware alag-thalag

ai gul tujhe kisi ki na mutlaq KHabar hui
ghunche chaTak chaTak ke pukare alag-thalag

KHalwat mein bhi jo aae hain jalwat ka zikr kya
baiThe hue hain sharm ke mare alag-thalag

pesh-e-nazar shabih-e-KHayali hai apni 'shad'
naqshe jame hue hain hamare alag-thalag