اردو हिंदी
Har sham dilati hai use yaad hamari | Shaahi Shayari
har sham dilati hai use yaad hamari

Ghazal

Har sham dilati hai use yaad hamari

Kashif Husain Ghair

;

har sham dilati hai use yaad hamari
itni to hawa karti hai imdad hamari

kuchh hain bhi agar hum to giraftar hain apne
zanjir nazar aati hai aazad hamari

ye shahr nazar aata hai ham-zad hamara
aur gard nazar aati hai fariyaad hamari

ye rah bata sakti hai hum kaun hain kya hain
ye dhul suna sakti hai rudad hamari

hum gosha-nashinon se hai manus kuchh aisi
jaise ki ye tanhai ho aulad hamari

achchha hai ki diwar ke sae se rahen dur
paD jae na diwar pe uftad hamari