har samt lahu-rang ghaTa chhai si kyun hai
duniya meri aankhon mein simaT aai si kyun hai
kya misl-e-charagh-e-shab-e-aKHir hai jawani
shiryanon mein ek taza tawanai si kyun hai
dar aai hai kyun kamre mein dariyaon ki KHushbu
TuTi hui diwaron pe lalchai si kyun hai
main aur meri zat agar ek hi shai hain
phir barson se donon mein saf-arai si kyun hai
Ghazal
Har samt lahu-rang ghaTa chhai si kyun hai
Fuzail Jafri