har sans ko mahkaiye ab der na kije
ek phul sa khil jaiye ab der na kije
ek jam mohabbat se masarrat se bhara jam
chhalkaiye chhalkaiye ab der na kije
sach kahta hun ek umr se pyasi hai ye mahfil
paimana-ba-kaf aaiye ab der na kije
sawan ki ghaTa ban ke sulagti hui rut mein
duniya pe baras jaiye ab der na kije
zanjir mein jakDe hue diwanon ko apne
suli se utarwaiye ab der na kije
sannaTa har ek ruh ko ab Dasne laga hai
ek git koi gaiye ab der na kije
is ahd-e-sharar-bar pe phir amn ki shabnam
barsaiye barsaiye ab der na kije
talwaron ne chamkaya hai maqtal ki zamin ko
talwaron ko dafnaiye ab der na kije
ek aur hasin KHwab ki miT jae shab-e-gham
'dauran' ko bhi dikhlaiye ab der na kije
Ghazal
Har sans ko mahkaiye ab der na kije
Owais Ahmad Dauran