har rag-e-KHar ki tahwil mein KHun hai mera
be-karan dasht dabistan-e-junun hai mera
naqsh-e-mauhum hai sab wusat-e-raz-o-aflak
mere shahpar ke tale said-e-zabun hai mera
shaKHen talwar ki surat hain gul-o-barg hain sang
dil ka ye naKHl giraftar-e-fusun hai mera
zaKHm kya hai kisi shamshir-e-nigah ka ejaz
ashk kya hai samar-e-fasl-e-darun hai mera
hijr ka chand dahakta hua angara sahi
magar is se bhi kahin shola fuzun hai mera
sab mere dil pe karam us nigah-e-naz ka hai
be-qarari hai meri aur na sukun hai mera
gham ka zahrab rag o pai mein jo utra 'ishrat'
tab ye malum hua mujh ko wo kyun hai mera
Ghazal
Har rag-e-Khaar ki tahwil mein KHun hai mera
Ishrat Zafar