har nafas ek mustaqil fariyaad hai
kitni pur-gham ishq ki rudad hai
ghaT rahi hain mere dil ki quwwaten
ab ye shayad aaKHiri fariyaad hai
ho gai shayad ki ab takmil-e-ishq
warna kyun shor-e-mubarakbaad hai
jism paband-e-tayyun ho to ho
ruh to har qaid se aazad hai
phir kahan gulshan mein wo aasudgi
aashiyan jab waqf-e-barq-o-baad hai
dekhiye anjam-e-kar-kaenat
dil mera phir mail-e-fariyaad hai
jis mein 'saqib' tha wo mujh se ham-kanar
mujh ko wo manzar abhi tak yaad hai
Ghazal
Har nafas ek mustaqil fariyaad hai
Saqib Kanpuri