har mauqe ki har rishte ki Dher nishani us ke pas
album ke har ek photo ki ek kahani us ke pas
shahr wo sahukar hai jis ko kos raha hai har koi
ye sach bhi sab ko malum hai dana-pani us ke pas
amman ki baaton mein aankhen sukh-dukh sapne sab to hain
ram-kahani us ke pas kabira-bani us ke pas
kai KHazane qisse wale ek bachche ke pas mile
dada dadi us ke pas nana nani us ke pas
soch raha hun ganw mein ja kar kuchh din ab aaram karun
wahin kahin par rakh aaya hun nind purani us ke pas

Ghazal
Har mauqe ki har rishte ki Dher nishani uske pas
Pratap Somvanshi