har kisi aankh ka badla hua manzar hoga
shahr-dar-shahr masihaon ka lashkar hoga
aaina-ru hai agar dil to hifazat kije
kis ko malum hai kis hath mein patthar hoga
le ke paigham-e-KHizan aaya hai mere dar pe
wo jo kahta tha ki aangan mein sanobar hoga
phir siyasat ki mahak aane lagi hai mujh ko
jaane ab kaun mere shahr mein be-ghar hoga
chhu ke dekho to sahi us mein nami baqi hai
ye jo sahra hai kisi waqt samundar hoga
Ghazal
Har kisi aankh ka badla hua manzar hoga
Sayil Imran