har KHar inayat tha har ek sang sila tha
is rah mein har zaKHm hamein rah-numa tha
kyun ghir ke ab aae hain ye baadal ye ghaTaen
hum ne to tujhe der hui yaad kiya tha
ai shishagaro kuchh to karo aaina-KHana
rangon se KHafa ruKH se juda yun na hua tha
in aankhon se kyun subh ka suraj hai gurezan
jin aankhon ne raaton mein sitaron ko chuna tha
Ghazal
Har Khaar inayat tha har ek sang sila tha
Zehra Nigaah