اردو हिंदी
Har ek shai par bahaar-e-zindagi mahsus karta hun | Shaahi Shayari
har ek shai par bahaar-e-zindagi mahsus karta hun

Ghazal

Har ek shai par bahaar-e-zindagi mahsus karta hun

Aish Barni

;

har ek shai par bahaar-e-zindagi mahsus karta hun
magar ba-in-hama teri kami mahsus karta hun

bhaTak kar bhi kabhi manzil se begana nahin hota
kisi ki ghaebana rahbari mahsus karta hun

main apne dil pe rakh leta hun tohmat bad-gumani ki
agar teri taraf se be-ruKHi mahsus karta hun

ye duniya ajnabi pahle bhi thi aur ab bhi hai lekin
ab apne aap ko bhi ajnabi mahsus karta hun

tumhein is baat ka andaza shayad ho nahin sakta
ki tum ko dekh ki kitni KHushi mahsus karta hun