har ek dagh-e-dil shama san dekhta hun
teri anjuman zau-fishan dekhta hun
tayyun se aazad hain mere sajde
jabin par tera aastan dekhta hun
fareb-e-tasawwur hai qaid-e-qafas hai
har ek shaKH par aashiyan dekhta hun
main rah-e-talab ka hun pasmanda rah-raw
ghubar-e-rah-e-karwan dekhta hun
ba-andaza-e-zauq-e-iza-pasandi
use aaj main mehrban dekhta hun
pila kar mujhe mahram-e-hosh rakkha
ye eajaz-e-pir-e-mughan dekhta hun
meri zindagi mahram-e-gham hai 'tabish'
nafas ko ba-rang-e-fughan dekhta hun
Ghazal
Har ek dagh-e-dil shama san dekhta hun
Tabish Dehlvi