har ek chhoTi se chhoTi baat par nadan nikalti hai
kahin tum kho na jao soch kar hi jaan nikalti hai
na jaane kaise kaise dard sine mein sulagte hain
na jaane kaisi kaisi sans kuchh hairan nikalti hai
kitabat se na jo sikha wo duniya ne sikhaya hai
KHushi kitni baja ho dard se pinhan nikalti hai
ajab hai zindagi mushkil hui aasan samjhe the
jahan samjha kiye mushkil wahin aasan nikalti hai
wahi jaan to nikalegi yahan par ho wahan par ho
jo ab tak yan nikalti thi wahi ab wan nikalti hai

Ghazal
Har ek chhoTi se chhoTi baat par nadan nikalti hai
Rajneesh Sachan