har haqiqat ko ba-andaz-e-tamasha dekha
KHub dekha tere jalwon ko magar kya dekha
justuju mein teri ye hasil-e-sauda dekha
ek ek zarre ka aaghosh-e-talab wa dekha
aaina-KHana-e-alam mein kahen kya dekha
tere dhoke mein KHud apna hi tamasha dekha
hum ne aisa na koi dekhne wala dekha
jo ye kah de ki tera husn sarapa dekha
dil-e-agah mein kya kahiye 'jigar' kya dekha
lahren leta hua ek qatre mein dariya dekha
koi shaista-o-shayan-e-gham-e-dil na mila
hum ne jis bazm mein dekha use tanha dekha
Ghazal
Har haqiqat ko ba-andaz-e-tamasha dekha
Jigar Moradabadi