har ghaDi mujh ko be-qarar na kar
zindagi meri sogwar na kar
jis ke sahil ka kuchh pata hi nahin
aisi kashti ko iKHtiyar na kar
be-KHudi meri be-KHudi na rahe
itna ehsan gham-gusar na kar
is qadar mujh pe iltifat-o-karam
mere mohsin tu sharmsar na kar
pak kar le hawas se dil pahle
kaun kahta hai tujh ko pyar na kar
apne wade ka rakh bharam ai dost
kisht-e-ummid reg-zar na kar
KHair-KHwahi ke nam par hargiz
mere aibon ka ishtihaar na kar
aadmi hai to aadmi hi rah
aadamiyat ko daghdar na kar
jo 'sahar' dil se bhul baiTha ho
tazkira us ka bar bar na kar

Ghazal
Har ghaDi mujhko be-qarar na kar
Sahar Mahmood