har ghaDi KHud se ulajhna hai muqaddar mera
main hi kashti hun mujhi mein hai samundar mera
kis se puchhun ki kahan gum hun kai barson se
har jagah DhunDhta phirta hai mujhe ghar mera
ek se ho gae mausamon ke chehre sare
meri aankhon se kahin kho gaya manzar mera
muddaten bit gain KHwab suhana dekhe
jagta rahta hai har nind mein bistar mera
aaina dekh ke nikla tha main ghar se bahar
aaj tak hath mein mahfuz hai patthar mera
Ghazal
Har ghaDi KHud se ulajhna hai muqaddar mera
Nida Fazli