اردو हिंदी
Har ghaDi chashm-e-KHaridar mein rahne ke liye | Shaahi Shayari
har ghaDi chashm-e-KHaridar mein rahne ke liye

Ghazal

Har ghaDi chashm-e-KHaridar mein rahne ke liye

Shakeel Azmi

;

har ghaDi chashm-e-KHaridar mein rahne ke liye
kuchh hunar chahiye bazar mein rahne ke liye

main ne dekha hai jo mardon ki tarah rahte the
masKHare ban gae darbar mein rahne ke liye

aisi majburi nahin hai ki chalun paidal main
KHud ko garmata hun raftar mein rahne ke liye

ab to badnami se shohrat ka wo rishta hai ki log
nange ho jate hain aKHbar mein rahne ke liye