har ek samt udasi ki titliyan jagin
tulu-e-sham se pahle siyahiyan jagin
safar mein dhup ki lazzat pas-e-ghubar hui
ghane daraKHton ke sae mein garmiyan jagin
dayar-e-dil mein sadaon ka aaina TuTa
nawah-e-jaan mein talluq ki kirchiyan jagin
kahan kahan nahin di hum ne raat bhar dastak
na koi bab hi chaunka na khiDkiyan jagin
dilon ke bich to hail tha barf ka mausam
na jism sulge na KHwahish ki garmiyan jagin
lahu mein lams ke shoale buland hone lage
badan mein qurb ki pur-shor aandhiyan jagin
kisi se kam na hua 'naz' fasla gham ka
ki log jitna chale utni duriyan jagin
Ghazal
Har ek samt udasi ki titliyan jagin
Naz Quadri